Wednesday 29 August 2012

Main Shayar toh Nahi

बड़े बेगैरत हो कर उनके घर से निकले हम ,
जिन्हों ने मोहब्बत के सौ वादे किये थे कभी 

Bade Begairat ho Kar Unke Ghar se Nikle Ham,
Jinho ne Mohabbat ke sau Vaade Kiye the kabhi

अजीब होते हैं लोग जो  बहकने का बुरा मान जाते हैं ,
दरअसल हक़ीक़तों से परदे बहकने के बाद ही उठते हैं 

Ajeeb hote hain log Jo Bahakane ka Bura maan jate hain,
Darasal haqeeqaton se parde Bahakane ke Bad hi Uthte hain

यहाँ कुछ भी किसी के इख़्तियार में नहीं ,
हाँ सिकंदर बनने की ख्वाहिश सब में है 

Yaha Kuchh bhi kisi ke Ikhtiyar mein nahi,
Han Sikandar banane ki Khwahish Sab mein hai

इन  बे - मुरव्वतों  से  बेखबर  मैं  चलता  ही  चला  गया ,
जानता  था  हर  मोड़  पर   ऐसे  ही  लोग  मिलें  गे  मुझे

In Be-Murawwaton se Bekhabar Main Chalta hi Chala gaya,
Jaanta tha Har Mod Par  aise hi Log Milen Ge mujhe

ख्याल रखना ही होगा मेरे दोस्त अपने ख्याल का , 
किसी और के खयालो में खो जाये ख्याल आपका 

Khyal Rakhna hi Hoga Mere Dost Apne Khyal ka, 
Kisi aur ke Khayalo mein na Kho Jaye Khyal aapka

Tuesday 28 August 2012

Main Shayar To Nahi






कितने मौसम गुज़ारे , दीदार -इ -यार को मेरी आँखे तरस गयी ,
आज बारिश की झड़ी लगी है, शायद मिलने का कोई सबब बन जाए 

Kitne Mausam Guzare, Deedar-e-Yaar ko meri Aankhe Taras Gayi,
Aaj Barish ki Jhadi Lagi hai, Shayad Milne ka koi Sabab Ban jaaye